How to Make a Free Website/Blog on WordPress in Hindi Step by Step Guide

Friends aj me free me website/blog keshe banate hai, ke bare me bat kar rahe hai. Bahut saare log aaj apna website banana chahte hain. Lekin unhe pata nahi hota hai ki website kaise banate hain. Ya website banane ke liye kaun sa platform best hota hai. Aur Websites Banane ki kya steps follow karne hote hai.

To in sab ke chalte koi bhi banda confuse ho jata hai kyuki Internet par aise bahut se website builder hain. Lekin is post me main Bataunga ki how to make a free website on wordpress or other platform, WordPress website kaise banaye uski complete knowladge step by step in hindi. Bus ap meri is post ko pura padhe.

Dosto Website ki Duniya me bahut aise log hain jo website banakar online lakho money kama rahe hai. Lekin kuch aise bhi log hote hain jo sirf blog ya website par knowledge share karna unka passion hota hai, lekin mostly 80% log eshe hote hai jo website kevel online money earn karne ke liye hi banate hai.

chaliye janate hain wordpress website create kashe karte hai, Kuch logo ne mujse Question puche hai ki ” website builder,how to create a web page, how to build your own website, create wordpress website, best way to start a blog” in sabhi Question ka jawab apko is post me meel jayega,

WordPress website create/start karne ke liye sabse mahatavpunn kya hota hai.

Website Build karne le Domain Name choice.

Domain Name Bahut jaruri hota hai, sabse phele ap suggest kerege ki humari website kis type ki hai, Aur hume konsa Domain book karna hai, Like As apki website technology se related hai, to ap technology se hi related Domain Name Book kare. Domain Hai kya, Kisi bhi website ka address hi sabse main hota hai. Kyuki jab tak kisi ghar ya website ka address hi nahi hoga to koi bhi us ghar ya website tak nahi ja sakta hai. domain name aap web hosting ke sath hi hostgator se ya other website se Buy Kar sakte ho.

Agar ap kisi Aur se Domail Buy karna chahate hai To bahut saari websites hai jaise- Godaddy, Bigrock etc. Isme Gadaddy duniya ki sabse best aur popular domain registrar company hai.

Domain Name Kaisa Hona Chahiye?

  • Aap domain name apne naam se bhi kharid sakte ho.
  • Aisa hona chahiye jo easily yaad kiya ja sake.
  • Kam se kam 3 word me hona chahiye jaise acedigitech.com.

Website ke liye web hosting Bahut jaruri hoti hai

Dosto bahut sari eshi website hai. jo hosting sale karti hai, jeshe WordPress Hosting, Godaddy, hostgator etc,
WordPress par website Banane ke liye ye sabse pahli apko hosting ki jarurat hoti hai. WordPress website ke liye webhosting kaise buy kare ye main pahle hi bata chuka hu. ki Hosting ek tarah se hamare computer ki tarah hi hoti hai jisme ham apni sabi files store karte hain. Isi tarah se hi hume web par server milta hai. jaha par hum apni files store karne ke liye web hosting ka use karte hai.

Internet par bahut si popular web hosting company hai. kuch website aisi hoti hai, Jo kam money me bhi acchi service deti hain Jaise- HostGator, Bluehost etc. Agar aap new ho to wordpress ko sikhne rahe ho to ap free hosting use kar sakte ho. Lekin agar aap ek professional aur paise kamane ke liye website start kar rahe ho to me suggest karugi ki ap Free Hosting ka use na kare. To main apko HostGator ya Godaddy hi suggest karunga aur hostgator se aap abhi 30% Discount par hosting purchase kar sakte ho.

Website setup and customization

Domain name aur hosting buy karne ke baad apko apni website ko setup karna hai. WordPress Website start karne ki complete guide yahan hai. But phir main apko batata hu ki apko hosting aur doman name buy karne ke baad website ko kaise setup karna hai.

WordPress website setup karne ke liye apko sabse pahle apne computer par wordpress install karna hoga. Hosting ke C-panel se domain par wordpress install kar sakte hai.

WordPress install karne ke liye ye step follow kijiye:

  • Hosting cpanel par login karna hoga.
  • Niche Scroll karke “Softaculous Apps Installer” par click karna hoga.
  • WordPress ko select kare aur Intall button ko click kijiye.
  • Domain select kare aur General info fill karne ke baad Install button par click karna hoga.
  • Done!

Choose Responsive and Best Theme:

Friends WordPress instalation aur important setting complete karne ke baad apko apni website ke liye ek acchi or responsive theme choose karni hogi. Jo mobile friendly, responsive aur seo friendly bhi honi chahiye.

Ab theme choose karne ke baad us theme ko acche se customize karna hoga. Taki dekhne me bhi acchi lage aur logo ko pasand bhi aye. Website ka design bhi bahut matter karta hai kyuki agar apki website aur acche se design kiya hua nahi hai. To koi bhi apki website par ana pasand nahi karega. Iske sath hi website ke loding speed 2-5 second honi chahiye. iss se visitor bhi apki website ki aasane se visit kar sakege, agar apki website ki loding speed thik nahi hai to visitor bhai nahi rukega. Aur iss se apki website ka Bounce Rate bhi Increase Ho jeyega, jo website ke liye thik nahi hota hai,

I Hope ki apko meri ye post pasand aai hoga, agar apka koi sawal hai to ap muje comment box ke jariye puch sakte hai,

Leave A Reply

Your email address will not be published.